when the going gets tough...

Monday, December 05, 2005

Dil se phir hogi meri baat ke ay dil ay dil

Yeh jo mehboob banaa hai teri tanhai ka
yeh tau mehmaan hai ghari bhar ka, chalaa jayega
Iss se kab teri museebat ka madaava hoga

Mushta'al ho ke abhi uthein gai wehshi saye
yeh chala jayega, reh jaayein gai baqi saye

Raat bhar jin se tera khoon kharaaba hoga
Jang thehri hai koi khel nahi hai ay dil

Dushman-e-jaan hein sabhi, saray ke saray qaatil
yeh karrii raat bhi
yeh saye bhi
tanhai bhi ...

4 Comments:

  • At 10:24 pm, Anonymous Anonymous said…

    yeh jo mehboob bana hai teri tanhai ka
    yeh mehmaan nahi madawa hai
    yeh tera apna hi saya hai issey chhoo kay tu dekh
    apnay seenay mein samaitay ga
    sabhi mushta'el saye
    jhulas jaye ga,
    keh dushman-e-jaan hai tanhai
    saya nahi, woh tu jhulas jaye ga
    woh ju tera saya hai
    kabhi nahi jaye ga
    jhulas jaye ga

     
  • At 9:57 pm, Blogger hushed said…

    good, but out of wazan
    concentrate on improving your skills, you have a light at the end of the tunnel!

     
  • At 4:59 am, Anonymous Anonymous said…

    dil sey koi baat ju nikley
    us ka koi paimana nahi

     
  • At 4:12 pm, Anonymous Anonymous said…

    dil se, acha hai, har ik baat kaho
    Ho sakay gar, ik baat hamari maano
    Jab woh mehmaan chala jaye aur
    Pass main koi na ho
    Dil ho
    Tum ho
    Dil ki ik baar suno
    Dil ki ik baar suno
    (Faiz sb se dhairon maazrat ke sath)
    And thanks for sharing.

     

Post a Comment

<< Home