Phir koi aya Dil-e-Zaar! Nahi koi nahi
Rah-rau hoga kahiin aur chala jaayega
Dhal chukee raat, bikharnay laga taaron ka ghubaar
Larrkharraanay lagay aiwaanon mein khwaabeeda charagh
So gayi raasta tak tak ke har ik rah-guzar
Ajnabi khaak ne dhundlaa diye qadmon ke suraagh
Gul karo shame'ein, barhaa do mae-o-meena-o ayaagh
apnay bai-khwaab kivaarron ko muqaffil kar do
ab yahan koi nahi, koi nahi aaye ga...